jo  chalā  aatā  hai  ḳhvāboñ  kī  taraf-dārī  ko
us  ne  dekhā  hī  nahīñ  ālam-e-be-zārī  ko
pairahan  chaak  na  ho  jaa.e  mire  ḳhvāboñ  kā
koī  tabdīl  kare  rasm-e-azādārī  ko
chāragar  jab  tujhe  ehsās  nahīñ  hai  to  phir
kaun  samjhe  bhalā  bīmār  kī  bīmārī  ko
maiñ  ne  sochā  thā  jo  bikne  se  bachā  leñge  mujhe
dauḌ  kar  aa.e  vahī  merī  ḳharīdārī  ko
ālam-e-ḳhvāb  meñ  hai  jis  kī  hukūmat  yaaro
vo  samajhtā  hai  baġhāvat  mirī  bedārī  ko
dil  ke  sahrā  ko  samundar  se  bachā  le  maulā
is  qadar  sahl  na  kar  tū  mirī  dushvārī  ko
kitne  bhole  haiñ  tirī  bazm  meñ  baiThe  hue  log
sach  samajhte  haiñ  sabhī  terī  adākārī  ko