jis  taraf  dekhiye  bāzār  udāsī  kā  hai
shahr  meñ  kaun  ḳharīdār  udāsī  kā  hai
ab  to  āñkhoñ  meñ  bhī  aañsū  nahīñ  aate  mere
ye  alag  ruup  mire  yaar  udāsī  kā  hai
ruuh  bechārī  pareshāñ  hai  kahāñ  jaa.e  ab
is  qadar  jism  pe  ab  baar  udāsī  kā  hai
apne  hone  kā  gumāñ  tak  nahīñ  hotā  mujh  ko
jaane  ye  kaun  sā  me.aar  udāsī  kā  hai
ab  ye  ehsās  hamesha  mujhe  hotā  hai  dost
mujh  meñ  ik  shaḳhs  talabgār  udāsī  kā  hai
aa.ina  dekh  ke  ma.alūm  huā  hai  mujh  ko
zaḳhm  chehre  pe  bhī  is  baar  udāsī  kā  hai
ye  udāsī  mujhe  tanhā  nahīñ  rahne  detī
haañ  tire  ba.ad  ye  upkār  udāsī  kā  hai