Dinesh naaidu

zamane Thik hai in se bahut hue raushan

Dinesh naaidu

zamāne Thiik hai in se bahut hue raushan
magar charāġh kahāñ ḳhud ko kar sake raushan
sabhī ke zehn meñ us kā ḳhayāl rahtā hai
us ek nuur se hai kitne aa.ine raushan
abhī to ham ko ka.ī roz jagmagānā hai
hamīñ hai dasht meñ ik āḳhirī diye raushan
mahak usī kī mirī rahnumā.ī kartī hai
usī kī chaap se hote haiñ rāste raushan
ham ek umr se tārīkiyoñ meñ simTe the
jab us ne chhū liyā to ham bhī ho ga.e raushan
kisī kā aks mujhe ḳhvāb meñ dikhā thā kabhī
tamām umr rahe mere rat-jage raushan
ye aadhī raat ko dastak sī kis ne dī dil par
ye kis ne kar diye har samt qumqume raushan
ham ek ruḳh se añdhere meñ aa ga.e lekin
ka.ī ruḳhoñ se hamāre haiñ silsile raushan
chalo 'dinesh' ab is dil se un kā nuur gayā
talāshte haiñ ilāqe bache-khuche raushan
Top Urdushayar.com