zamāne  Thiik  hai  in  se  bahut  hue  raushan
magar  charāġh  kahāñ  ḳhud  ko  kar  sake  raushan
sabhī  ke  zehn  meñ  us  kā  ḳhayāl  rahtā  hai
us  ek  nuur  se  hai  kitne  aa.ine  raushan
abhī  to  ham  ko  ka.ī  roz  jagmagānā  hai
hamīñ  hai  dasht  meñ  ik  āḳhirī  diye  raushan
mahak  usī  kī  mirī  rahnumā.ī  kartī  hai
usī  kī  chaap  se  hote  haiñ  rāste  raushan
ham  ek  umr  se  tārīkiyoñ  meñ  simTe  the
jab  us  ne  chhū  liyā  to  ham  bhī  ho  ga.e  raushan
kisī  kā  aks  mujhe  ḳhvāb  meñ  dikhā  thā  kabhī
tamām  umr  rahe  mere  rat-jage  raushan
ye  aadhī  raat  ko  dastak  sī  kis  ne  dī  dil  par
ye  kis  ne  kar  diye  har  samt  qumqume  raushan
ham  ek  ruḳh  se  añdhere  meñ  aa  ga.e  lekin
ka.ī  ruḳhoñ  se  hamāre  haiñ  silsile  raushan
chalo  'dinesh'  ab  is  dil  se  un  kā  nuur  gayā
talāshte  haiñ  ilāqe  bache-khuche  raushan