kis  ke  sapnoñ  se  mirī  niiñd  sajī  rahtī  hai
jāgtā  huuñ  to  in  āñkhoñ  meñ  namī  rahtī  hai
DhūñDhtā  rahtā  huuñ  be-sudh  maiñ  kisī  māchis  ko
ek  cigarette  mire  hoñToñ  se  lagī  rahtī  hai
ek  tasvīr  salīqe  se  rakhī  hai  ghar  meñ
baaqī  har  chiiz  to  bas  yuuñ  hī  paḌī  rahtī  hai
aise  aalam  meñ  jahāñ  koī  nahīñ  kahtā  kuchh
ye  sadāoñ  kī  fazā  kaise  banī  rahtī  hai
Dhaltā  jaatā  huuñ  añdheroñ  meñ  maiñ  rafta-rafta
chāñdnī  duur  kahīñ  duur  khaḌī  rahtī  hai
maiñ  tire  paas  ḳhalāoñ  meñ  pahuñch  jaatā  huuñ
aur  ik  laash  kahīñ  ghar  meñ  paḌī  rahtī  hai