mire kamre meñ puurī chāñdnī hai
faqat terī kamī baaqī rahī hai
maiñ sahrā meñ tasallī se rahūñgā
musalsal tishnagī hī tishnagī hai
ḳhamoshī oḌh kar baiThe haiñ sab peḌ
ye bārish aaj kitnī ḳhushk sī hai
havā aa.ī hai kis duniyā se ho kar
har ik Tahnī shajar kī kāñptī hai
abhī to sardiyoñ kā daur hogā
fazā ronā thā jitnā ro chukī hai
maiñ har dīpak bujhātā jā rahā huuñ
merī duniyā meñ itnī raushnī hai
darīcha ab nahīñ khultā tumhārā
nazar lekin kisī kī māntī hai
vo jo hassās laḌkā mar gayā thā
ab us kā shauq keval shā.irī hai
kabhī Thahrā nahīñ phūloñ kā mausam
diloñ kā TuuT jaanā qudratī hai