mire  kamre  meñ  puurī  chāñdnī  hai
faqat  terī  kamī  baaqī  rahī  hai
maiñ  sahrā  meñ  tasallī  se  rahūñgā
musalsal  tishnagī  hī  tishnagī  hai
ḳhamoshī  oḌh  kar  baiThe  haiñ  sab  peḌ
ye  bārish  aaj  kitnī  ḳhushk  sī  hai
havā  aa.ī  hai  kis  duniyā  se  ho  kar
har  ik  Tahnī  shajar  kī  kāñptī  hai
abhī  to  sardiyoñ  kā  daur  hogā
fazā  ronā  thā  jitnā  ro  chukī  hai
maiñ  har  dīpak  bujhātā  jā  rahā  huuñ
merī  duniyā  meñ  itnī  raushnī  hai
darīcha  ab  nahīñ  khultā  tumhārā
nazar  lekin  kisī  kī  māntī  hai
vo  jo  hassās  laḌkā  mar  gayā  thā
ab  us  kā  shauq  keval  shā.irī  hai
kabhī  Thahrā  nahīñ  phūloñ  kā  mausam
diloñ  kā  TuuT  jaanā  qudratī  hai