ik  hare  ḳhat  meñ  koī  baat  purānī  paḌhnā
kitnā  mushkil  hai  kisī  aañkh  kā  paanī  paḌhnā
kuchh  na  kuchh  sochnā  bas  sochnā  yuuñ  hī  din  bhar
aur  phir  raat  meñ  pariyoñ  kī  kahānī  paḌhnā
ek  hī  chehre  kī  bauchhār  hai  qissa  apnā
merī  āñkhoñ  se  ise  dushman-e-jānī  paḌhnā
kuud  jaanā  tirī  yādoñ  ke  samundar  meñ  phir
Dūbte  Dūbte  maujoñ  kī  ravānī  paḌhnā
āḳhrī  baar  mujhe  dekhnā  jaate  jaate
sūkhī  āñkhoñ  se  mirā  sail-e-ma.ānī  paḌhnā
maiñ  ne  ik  daur  kā  sāvan  hai  kiyā  nazm  yahāñ
tū  kabhī  aa  ke  mirī  āñkhoñ  kā  paanī  paḌhnā