Mahir Bilgrami

kuchh shama se puchho na shab-e-tar se puchho

Mahir Bilgrami

Hardoi, Uttar pradesh, India

1922
kuchh sham.a se pūchho na shab-e-tār se pūchho
kyā hijr meñ biitī ye dil-e-zār se pūchho
sausan se na kuchh nargis-e-bīmār se pūchho
tārājī-e-gulshan kā sabab ḳhaar se pūchho
zahmat na do aise meñ na bīmār se pūchho
kyā haal hai ye nabz kī raftār se pūchho
kyuuñ dast-e-hinā.ī dil-āzār se pūchho
rañg-e-gul-e-lāla lab-o-ruḳhsār se pūchho
yaaro se karo mashvara aġhyār se pūchho
kab tak vo raheñge khiche talvār se pūchho
kirdār se raftār se guftār se pūchho
kyā kaun hai ye us kī hī me.aar se pūchho
dil se na ye qurbānī-o-īsār se pūchho
aqdār-e-vafā husn ke bāzār se pūchho
mumkin nahīñ jo dil meñ hai us ko na ugal de
dushman se bhī ik baar agar pyaar se pūchho
ā.īna-e-ehsās ḳhad-o-ḳhāl hasīñ haiñ
tāsīr-e-vafā rañg-e-ruḳh-e-yār se pūchho
rah rah ke maze detī hai kyā kyā ḳhalish-e-zaḳhm
ye dard-e-mohabbat ke ḳharīdār se pūchho
kah uTThe anal-haq nahīñ har ik kā kalejā
is zarf ko ahl-e-rasan-o-dār se pūchho
jannat kā jumūd achchhā hai yā kashmakash-e-ishq
ye jurm mohabbat ke gunahgār se pūchho
kyuuñ rañg uḌā kaliyoñ kā kyuuñ chup haiñ anādil
gulshan ke jagah-dār ke kirdār se pūchho
kahte kise mehrāb-e-haram kyā hai mah-e-nau
us shoḳh ke ye abrū-e-ḳhamdār se pūchho
lākhoñ kā lahū pī ke bhī be dard abhī tak
kyuuñ ḳhuun kī pyāsī hai ye talvār se pūchho
zanjīr-e-mohabbat kī asīrī meñ hai kyā lutf
pech-o-ḳham-e-kākul ke giraftār se pūchho
dānista nahīñ bande se koī huī taqsīr
phir kis liye bargashta haiñ sarkār se pūchho
dil vāloñ se bas pūchho hai kyā rishta-e-ulfat
tasbīh se pūchho na ye zunnār se pūchho
ik us ke chale jaane se kyā haal hai 'māhir'
hasrat-zada ghar ke dar-o-dīvār se pūchho
Top Urdushayar.com