Mahir Bilgrami

pyar ka karobar karta hun

Mahir Bilgrami

Hardoi, Uttar pradesh, India

1922

pyaar kārobār kartā huuñ

sab ko duniyā meñ pyaar kartā huuñ

ḳhud pe maiñ e'tibār kartā huuñ

pyaar kartā thā pyaar kartā huuñ

aah be-iḳhtiyār kartā huuñ

yaad jab us pyaar kartā huuñ

mujh ko nafrat se saḳht nafrat hai

pyaar ko dil se pyaar kartā huuñ

maut intizār kyā ma.anī

zindagānī se pyaar kartā huuñ

sabza-o-ḳhār-o-gul sabhī haiñ aziiz

saare gulshan ko pyaar kartā huuñ

dost kar letā huuñ adū ko bhī

dushmanoñ ko bhī pyaar kartā huuñ

mujh ko kyā ho kisī kuchh maslak

maiñ shi.ār apnā pyaar kartā huuñ

mujh ko sañgīñ butoñ se ulfat hai

pattharoñ ko maiñ pyaar kartā huuñ

bach ke chalnā sikhāyā kāñToñ ne

is meñ maiñ un ko pyaar kartā huuñ

umr dukh dard meñ kaTī apnī

is liye ġham se pyaar kartā huuñ

luuT le dil jo aañkh malte

aise rahzan ko pyaar kartā huuñ

un ko aatā hai jis qadar ġhussa

utnā aur pyaar kartā huuñ

mujh meñ rach bas gayā hai pyaar aisā

sab ko duniyā meñ pyaar kartā huuñ

roz-e-avval se aaj tak 'māhir'

us ko nādīda pyaar kartā huuñ

Top Urdushayar.com