bīsvīñ  sadī  ke  ham  shā.ir-e-pareshāñ  haiñ
mas.aloñ  meñ  uljhe  haiñ  fikr-o-ġham  meñ  ġhaltāñ  haiñ
Duub  kar  ubhar  aa.e  maut  se  gale  mil  kar
apnī  saḳht-jānī  ke  ḳhud  hī  ham  nigahbāñ  haiñ
ham  to  Thahre  dīvāne  ham  to  Thahre  sahrā.ī
ahl-e-fahm-o-dānish  ke  chaak  kyuuñ  garebāñ  haiñ
kab  hisāb  māñgā  thā  aap  kī  jafāoñ  kā
kyuuñ  jhukī  jhukī  nazreñ  kis  liye  pashemāñ  haiñ
aaj  tak  hai  ġham  taaza  dost  se  bichhaḌne  kā
ab  bhī  āñkheñ  rotī  haiñ  zaḳhm-e-dil-farozāñ  haiñ
sab  ke  ham  rahe  apne  kaun  hai  magar  apnā
DhūñDhte  haiñ  apnoñ  ko  ham  bhī  kitne  nādāñ  haiñ
'tāhira'  zamāne  kī  karvaToñ  kā  kyā  kahnā
hoñge  ye  bhī  vīrāne  aaj  jo  gulistāñ  haiñ