kirdār  hī  se  zīnat-e-aflāk  ho  ga.e
kirdār  gir  gayā  ḳhas-o-ḳhāshāk  ho  ga.e
ham  jaise  sāda-lauh  ko  duniyā  ke  haath  se
aisī  sazā  milī  hai  ki  chālāk  ho  ga.e
shāyad  bahār  aa  ga.ī  mauj-e-junūñ  liye
dāman  jo  sil  ga.e  the  vo  phir  chaak  ho  ga.e
kal  tak  davā-e-dard  the  kuchh  log  shahr  meñ
aaj  eqtidār  kyā  milā  zahhāk  ho  ga.e
qismat  kā  thā  mazāq  ki  ik  husn-e-ittifāq
aa.ī  hamārī  yaad  jab  ham  ḳhaak  ho  ga.e
un  kī  nazar  ne  'tāhira'  aisā  asar  kiyā
jo  darmiyāñ  hisāb  the  sab  paak  ho  ga.e