Rehana Roohi

kisi ki chashm-e-gurezan mein jal bujhe hum log

Rehana Roohi

kisī kī chashm-e-gurezāñ meñ jal bujhe ham log
ajab mashaqqat-e-hijrāñ meñ jal bujhe ham log
ham apne aks ko ā.īna karne vaale the
pe ek lamha-e-hairāñ meñ jal bujhe ham log
sambhāl pā.egā phir kaun ḳhvāb kā varsa
isī ḳhayāl-e-pareshāñ meñ jal bujhe ham log
jo aañkh se nahīñ Tapke in āñsuoñ ke saath
ḳhud apne ḳhema-e-mizhgāñ meñ jal bujhe ham log
hamāre ḳhuun kī qīmat pe jo ḳharīdī ga.ī
usī bahār-e-gulistāñ meñ jal bujhe ham log
kahāñ talak ki uThāte azāb-e-tanhā.ī
akele hujla-e-vīrāñ meñ jal bujhe ham log
sazā-e-maut se bad-tar hai āgahī kī sazā
shu.ūr-e-harf ke zindāñ meñ jal bujhe ham log
hameñ kisī kā bahut intizār thā 'rūhī'
so ban ke sham.a shabistāñ meñ jal bujhe ham log
Top Urdushayar.com