ham  se  karte  ho  bayāñ  ġhairoñ  kī  yaarī  aan  kar
rah  ga.ī  hai  aap  kī  ye  dost-dārī  aan  kar
ham  ko  aane  se  tumhārī  bazm  ke  kyā  thā  husūl
dekh  lete  the  magar  sūrat  tumhārī  aan  kar
rūThne  par  mere  kyā  lāzim  thā  ho  jaanā  ḳhafā
balki  karnī  thī  tumheñ  ḳhātir  hamārī  aan  kar
ta.an-e-bad-ḳhvāhāñ  se  tū  ik-dam  na  pāvegā  qarār
kī  jo  tere  dar  pe  ham  ne  be-qarārī  aan  kar
thā  agarche  ġhash  meñ  majnūñ  lekin  āñkheñ  khul  ga.iiñ
sar  pe  us  ke  jis  ghaḌī  lailā  pukārī  aan  kar
jis  jigar-kushta  kā  tere  lāsha  thā  ḳhuuñ  meñ  paḌā
ḳhuub  sā  royā  vahāñ  abr-e-bahārī  aan  kar
maiñ  bhī  kyā  bargashta-tāle.a  huuñ  ki  'tanhā'  raat  ko
phir  ga.ī  dar  tak  mire  us  kī  savārī  aan  kar