tamām  marhala-e-fard-o-zāt  honā  hai
salīb  chaḌhne  se  pahle  salīb  Dhonā  hai
hazār  baar  yazīdoñ  se  sāmnā  hogā
hazār  baar  mujhe  yuuñ  hī  qatl  honā  hai
abhī  vo  dāġh-e-garebāñ  pe  tabsira  na  kare
abhī  to  ḳhud  use  sābun  se  haath  dhonā  hai
sulagtī  aag  ke  jañgal  kā  ik  shajar  huuñ  maiñ
mirā  vajūd  yaqīnan  sarāb  honā  hai
hamāre  log  asīrān-e-sho.abada-bāzī
hamāre  shahr  meñ  dānish-varī  kā  ronā  hai
ye  jins-e-jāñ  ki  abhī  rā.egāñ  nahīñ  'mohsin'
kured  paao  to  miTTī  tamām  sonā  hai