Ghaus Mohammad Ghausi

ghurur-e-naz dikha tujh mein kitna jauhar hai

Ghaus Mohammad Ghausi

ġhurūr-e-nāz dikhā tujh meñ kitnā jauhar hai
mirā ḳhulūs bhī dariyā nahīñ samundar hai
parakh yahī hai mohabbat kī aañch do us ko
pighal gayā to vo shīsha hai varna patthar hai
ḳhalā-navard ko yaaro farāz-e-manzil kyā
ki ab to us kā har ik par bajā.e shahpar hai
adāvatoñ ko fanā kar diyā mohabbat se
mujāhide meñ mohabbat hī apnā ḳhanjar hai
subūt-e-bai.at-e-pīr-e-haram ye hai to sahī
ki aaj tak kaf-e-dast-rasā munavvar hai
mujhe zarūrat-e-ġhāza nahīñ ki chehre par
mire zamīr kā jo rañg hai ujāgar hai
sitāra-e-sahar-āsār hai jo ai 'ġhausī'
ġhubār-basta abhī us kā pesh-manzar hai
Top Urdushayar.com