idhar  udhar  se  kitāb  dekhūñ
ḳhayāl  sochūñ  ki  ḳhvāb  dekhūñ
tumhārī  nazroñ  se  dekhūñ  duniyā
tumhārī  āñkhoñ  se  ḳhvāb  dekhūñ
huā  hai  tasvīr  ik  tasavvur
gulāb  sochūñ  gulāb  dekhūñ
badan  hai  merā  hazār  āñkheñ
kabhī  use  be-naqāb  dekhūñ
bichhā.e  rakhkhūñ  ḳhamīr-e-sahrā
samundaroñ  meñ  sarāb  dekhūñ
hasīn  lamhe  guzār  aa.uuñ
udaas  rātoñ  ke  ḳhvāb  dekhūñ