hausle  the  kabhī  bulandī  par
ab  faqat  bebasī  bulandī  par
ḳhaak  meñ  mil  ga.ī  anā  sab  kī
chaḌh  ga.ī  thī  baḌī  bulandī  par
phir  zamīñ  par  bikhar  ga.ī  aa  kar
dhuup  kuchh  pal  rahī  bulandī  par
khil  rahī  hai  tamām  ḳhushiyoñ  meñ
ik  tumhārī  kamī  bulandī  par
ham  zamīñ  se  yahī  samajhte  the
hai  bahut  raushnī  bulandī  par
gir  ga.ī  haiñ  samāj  kī  qadreñ
chaḌh  gayā  aadmī  bulandī  par
zindagī  dekh  kar  huī  hairān
aa  ga.ī  maut  bhī  bulandī  par
mujh  se  sahrā  panāh  māñge  hai
dekh  vahshat  merī  bulandī  par
ham  zamīñ  par  gire  bulandī  se
ḳhaak  uḌ  kar  ga.ī  bulandī  par
ek  dil  par  kabhī  hukūmat  thī
ya.anī  maiñ  thā  kabhī  bulandī  par
khal  rahī  hai  kuchh  ek  logoñ  ko
merī  maujūdgī  bulandī  par
hai  ḳhudā  sāmne  mere  maujūd
aa  ga.ī  bandagī  bulandī  par