Liyaqat Ali Aasim

surat-e-mauj samundar mein kahan se aaya

Liyaqat Ali Aasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1951-2019
sūrat-e-mauj samundar meñ kahāñ se aayā
maiñ musāfir kī tarah ghar meñ kahāñ se aayā
ḳhvāhish-e-ḳhud-nigarī sabz huī kis rut meñ
ā.īna dast-e-sikandar meñ kahāñ se aayā
sar darīchoñ se nikal aa.e sadā sunte hī
ye hunar tere gadāgar meñ kahāñ se aayā
markaz-e-gul thā so ab ḳhaak nazar aatā hai
ye taġhayyur mire bistar meñ kahāñ se aayā
merī rāteñ bhī siyah din bhī añdhere mere
rañg ye mere muqaddar meñ kahāñ se aayā
kis ne khīñchā mirī tanhā.ī kā naqsha 'āsim'
dasht is shahr ke manzar meñ kahāñ se aayā
Top Urdushayar.com