Zareena Sani

tu apne jaisa achhuta KHayal de mujhko

Zareena Sani

Nagpur, Maharashtra, India

1905
tū apne jaisā achhūtā ḳhayāl de mujh ko
maiñ terā aks huuñ apnā jamāl de mujh ko
maiñ TuuT jā.ūñgī lekin na jhuk sakūñgī kabhī
majāl hai kisī paikar meñ Dhaal de mujh ko
maiñ apne dil se miTā.ūñgī terī yaad magar
tū apne zehan se pahle nikāl de mujh ko
maiñ sañg-e-koh kī mānind huuñ na bikhrūñgī
na ho yaqīñ jo tujhe to uchhāl de mujh ko
ḳhushī ḳhushī baḌhūñ kho jā.ūñ terī hastī meñ
anā ke ḳhauf se 'sānī' nikāl de mujh ko
Top Urdushayar.com