ab  kisī  ko  nahīñ  mirā  afsos
jaan  kar  ye  bahut  huā  afsos
dukh  nahīñ  ye  jahāñ  muḳhālif  hai
saath  apne  nahīñ  ḳhudā  afsos
laḌ  ke  barbād  ho  ga.e  jab  ham
saath  mil  kar  kiyā  gayā  afsos
jab  bhī  ḳhushiyoñ  ne  dar  pe  dastak  dī
sāmne  aa  khaḌā  huā  afsos
ham  faqat  jañg  hī  nahīñ  haare
hausla  bhī  bikhar  gayā  afsos
ik  ġhazal  aur  ho  ga.ī  ham  se
sher  koī  nahīñ  huā  afsos
aap  ko  maiñ  ne  Thes  pahuñchā.ī
maiñ  ne  behad  burā  kiyā  afsos
ḳhūb-sūrat  bahut  nazar  aa.e
jab  mirā  dil  nahīñ  rahā  afsos
mujh  ko  ḳhud  par  yaqīñ  nahīñ  jānāñ
tum  ne  mujh  par  yaqīñ  kiyā  afsos
maiñ  ne  baaqī  nahīñ  rakhā  kuchh  bhī
aap  ne  kuchh  nahīñ  kiyā  afsos
tū  hai  sharminda  ilm  hai  lekin
tū  nazar  se  utar  gayā  afsos
aadmī  tū  'sirāj'  achchhā  thā
itnī  jaldī  guzar  gayā  afsos
fātiha  paḌh  ki  phuul  rakh  mujh  par
aa  gayā  hai  to  kuchh  jatā  afsos
us  ne  barbād  kar  diyā  mujh  ko
us  ko  is  kā  nahīñ  zarā  afsos
mujh  ko  tum  par  bahut  bharosa  thā
tum  ne  māyūs  kar  diyā  afsos
ai  ḳhudā  hai  hasīñ  tirī  duniyā
par  mirā  jī  uchaT  gayā  afsos