ta.alluq  toḌ  kar  us  kī  galī  se
kabhī  maiñ  juḌ  na  paaya  zindagī  se
ḳhudā  kā  aadmī  ko  Dar  kahāñ  ab
vo  ghabrātā  hai  keval  aadmī  se
mirī  ye  tishnagī  shāyad  bujhegī
kisī  merī  hī  jaisī  tishnagī  se
bahut  chubhtā  hai  ye  merī  anā  ko
tumhārā  baat  karnā  har  kisī  se
ḳhasāre  ko  ḳhasāre  se  bharūñgā
nikālūñgā  ujālā  tīrgī  se
tumheñ  ai  dosto  maiñ  jāntā  huuñ
sukūñ  miltā  hai  merī  bekalī  se
havāoñ  meñ  kahāñ  ye  dam  thā  'faisal'
diyā  merā  bujhā  hai  buzdilī  se