sar  pe  sajne  ko  jo  tayyār  hai  mere  andar
gard-ālūd  sī  dastār  hai  mere  andar
jis  ke  mar  jaane  kā  ehsās  banā  rahtā  hai
mujh  se  baḌh  kar  koī  bīmār  hai  mere  andar
roz  ashkoñ  kī  na.ī  fasl  ugā  detā  hai
ek  būḌhā  sā  zamīñdār  hai  mere  andar
kitnā  ghanghor  añdherā  hai  mirī  rag  rag  meñ
is  qadar  raushnī  darkār  hai  mere  andar
dab  ke  mar  jā.ūñgā  ik  roz  maiñ  apne  nīche
ek  girtī  huī  dīvār  hai  mere  andar
kaun  detā  hai  ye  har  vaqt  gavāhī  merī
kaun  ye  merā  taraf-dār  hai  mere  andar
mere  likkhe  hue  har  lafz  ko  jhuTlātā  hai
mujh  se  baḌh  kar  koī  fankār  hai  mere  andar