Liaqat Jafri

ye jo rah rah ke sar-e-dasht hawa chalti hai

Liaqat Jafri

Jammu, Jammu and Kashmir, India

ye jo rah rah ke sar-e-dasht havā chaltī hai
kitnī achchhī hai magar kitnā burā chaltī hai
ek aaseb ta.āqub meñ lagā rahtā hai
maiñ jo ruktā huuñ to phir us kī sadā chaltī hai
haa.e vo saañs ki ruktī hai to kyā ruktī hai
haa.e vo aañkh ki chaltī hai to kyā chaltī hai
pesh-ḳhema hai kisī aur na.ī vahshat kā
ye jo itrā ke abhī bād-e-sabā chaltī hai
tiir chalte haiñ lagātār savād-e-jāñ meñ
aur talvār koī ek judā chaltī hai
biich dariyā ke ajab jashn bapā hai yaaro
saath kashtī ke koī mauj-e-balā chaltī hai
aaj kuchh aur hī manzar hai mire chāroñ taraf
ġhair-mahsūs tarīqe se havā chaltī hai
maiñ ba-zāhir to huuñ āsūda pa mere andar
dhīme dhīme se kahīñ āh-o-bukā chaltī hai
yuuñ to bebāk banā phirtā hai vo yāroñ meñ
us kī ā.ankhoñ meñ ajab sharm-o-hayā chaltī hai
mere maulā jo rahe sirf kahā terā rahe
mere hoñToñ pe yahī ek duā chaltī hai
Top Urdushayar.com