ye  jo  rah  rah  ke  sar-e-dasht  havā  chaltī  hai
kitnī  achchhī  hai  magar  kitnā  burā  chaltī  hai
ek  aaseb  ta.āqub  meñ  lagā  rahtā  hai
maiñ  jo  ruktā  huuñ  to  phir  us  kī  sadā  chaltī  hai
haa.e  vo  saañs  ki  ruktī  hai  to  kyā  ruktī  hai
haa.e  vo  aañkh  ki  chaltī  hai  to  kyā  chaltī  hai
pesh-ḳhema  hai  kisī  aur  na.ī  vahshat  kā
ye  jo  itrā  ke  abhī  bād-e-sabā  chaltī  hai
tiir  chalte  haiñ  lagātār  savād-e-jāñ  meñ
aur  talvār  koī  ek  judā  chaltī  hai
biich  dariyā  ke  ajab  jashn  bapā  hai  yaaro
saath  kashtī  ke  koī  mauj-e-balā  chaltī  hai
aaj  kuchh  aur  hī  manzar  hai  mire  chāroñ  taraf
ġhair-mahsūs  tarīqe  se  havā  chaltī  hai
maiñ  ba-zāhir  to  huuñ  āsūda  pa  mere  andar
dhīme  dhīme  se  kahīñ  āh-o-bukā  chaltī  hai
yuuñ  to  bebāk  banā  phirtā  hai  vo  yāroñ  meñ
us  kī  ā.ankhoñ  meñ  ajab  sharm-o-hayā  chaltī  hai
mere  maulā  jo  rahe  sirf  kahā  terā  rahe
mere  hoñToñ  pe  yahī  ek  duā  chaltī  hai