tumheñ  ab  is  se  ziyāda  sazā  nahīñ  dūñgā
duā.eñ  dūñgā  magar  bad-duā  nahīñ  dūñgā
tirī  taraf  se  laḌūñgā  maiñ  terī  har  ik  jañg
rahūñgā  saath  magar  hausla  nahīñ  dūñgā
tirī  zabān  pe  mauqūf  mere  haath  kā  lams
nivāla  dūñgā  magar  zā.iqa  nahīñ  dūñgā
maiñ  pahle  bose  se  nā-āshnā  rakhūñgā  tumheñ
phir  is  ke  ba.ad  tumheñ  dūsrā  nahīñ  dūñgā
phir  ek  baar  guzar  jaao  mere  uupar  se
maiñ  is  ke  ba.ad  tumheñ  rāsta  nahīñ  dūñgā
ki  tū  talāsh  kare  aur  maiñ  tujh  ko  mil  jā.ūñ
maiñ  terī  aañkh  ko  itnī  sazā  nahīñ  dūñgā
bhagā.e  rakkhūñgā  apnī  adālatoñ  meñ  tumheñ
tamām  umr  tumheñ  faisla  nahīñ  dūñgā
maiñ  us  ke  saath  huuñ  jo  uTh  ke  phir  khaḌā  ho  jaa.e
maiñ  tere  shahar  ko  ab  zalzala  nahīñ  dūñgā
tirī  anā  ke  liye  sirf  ye  sazā  hai  bahut
tū  jā  rahā  hai  to  tujh  ko  sadā  nahīñ  dūñgā
ki  ab  kī  baar  'liyāqat'  huā  huā  so  huā
maiñ  us  ke  haath  meñ  ab  aa.inā  nahīñ  dūñgā