paḌe  paḌe  na.ī  zar-ḳheziyāñ  nikal  aa.iiñ
kaTe  daraḳht  meñ  phir  Tahniyāñ  nikal  aa.iiñ
us  aa.ine  meñ  thā  sarsabz  baaġh  kā  manzar
chhuā  jo  maiñ  ne  to  do  titliyāñ  nikal  aa.iiñ
maiñ  toḌ  Daalā  gayā  to  imārat-e-jāñ  meñ
kahāñ  kahāñ  se  mirī  chābiyāñ  nikal  aa.iiñ
maiñ  āsmān  pe  pahuñchā  to  laḌkhaḌāne  lagā
bulandiyoñ  meñ  ajab  pastiyāñ  nikal  aa.iiñ
Thahar  ga.e  to  mayassar  huī  na  jā-e-amāñ
jo  chal  paḌe  to  ka.ī  bastiyāñ  nikal  aa.iiñ
vahī  nasīb  ki  maiñ  shahryār  jis  se  banā
usī  nasīb  meñ  tañg-dastiyāñ  nikal  aa.iiñ
mire  ilaaj  ko  allāh  istaqāmat  de
mire  marīz  kī  phir  pasliyāñ  nikal  aa.iiñ
maiñ  āsmān  se  utrā  zamīn  kī  jānib
zamīñ  se  merī  taraf  sīḌhiyāñ  nikal  aa.iiñ
vahī  surāḳh  jahāñ  chhipkilī  kā  Derā  thā
usī  sūrāḳh  se  phir  chyūñTiyāñ  nikal  aa.iiñ
abhī  abhī  to  sambhālā  gayā  thā  gard-o-ġhubār
hisār-e-dasht  meñ  phir  āñdhiyāñ  nikal  aa.iiñ
sambhāl  rakhā  thā  ammī  ne  jis  ko  maut  talak
usī  kabāḌ  se  kuchh  taḳhtiyāñ  nikal  aa.iiñ
maiñ  āḳhirī  thā  jise  sarfarāz  honā  thā
mire  hunar  meñ  bhī  kotāhiyāñ  nikal  aa.iiñ