hālāñki  pahle  din  se  kahā  jā  rahā  huuñ  maiñ
lekin  kahāñ  kisī  ko  sunā  jā  rahā  huuñ  maiñ
lāchār  o  bad-havās  ghane  jañgaloñ  ke  biich
dariyā  ke  saath  saath  chalā  jā  rahā  huuñ  maiñ
pachhtā  rahe  haiñ  sab  mirā  pinjar  nikāl  kar
dīvār  meñ  dobāra  chunā  jā  rahā  huuñ  maiñ
hālāñki  pahle  saa.e  se  rahtī  thī  kashmakash
ab  apne  bojh  se  hī  dabā  jā  rahā  huuñ  maiñ
tere  sambhālne  se  bhī  pakḌī  na  maiñ  ne  aag
ab  aur  bhī  ziyāda  bujhā  jā  rahā  huuñ  maiñ
pahle-pahal  to  ḳhud  se  hī  mansūb  the  ye  ashk
ab  us  kī  aañkh  se  bhī  bahā  jā  rahā  huuñ  maiñ
ye  din  bhī  kaisā  saḳht  shikanja  hai  'ja.afarī'
ab  jis  pe  saarī  raat  kasā  jā  rahā  huuñ  maiñ