koī  samjhāo  dariyā  kī  ravānī  kāTtī  hai
ki  mere  saañs  ko  tishna-dahānī  kāTtī  hai
maiñ  bāhar  to  bahut  achchhā  huuñ  par  andar  hī  andar
mujhe  koī  balā-e-nā-gahānī  kāTtī  hai
maiñ  dariyā  huuñ  magar  kitnā  satāyā  jā  rahā  huuñ
ki  bastī  roz  aa  ke  merā  paanī  kāTtī  hai
zamīñ  par  huuñ  magar  kaT  kaT  ke  girtā  jā  rahā  huuñ
musalsal  ik  nigāh-e-āsmānī  kāTtī  hai
maiñ  kuchh  din  se  achānak  phir  akelā  paḌ  gayā  huuñ
na.e  mausam  meñ  ik  vahshat  purānī  kāTtī  hai
ki  raaja  mar  chukā  hai  aur  shahzāde  javāñ  haiñ
ye  raanī  kis  tarah  apnī  javānī  kāTtī  hai
nazar  vaalo  tumhārī  aañkh  se  shikva  hai  mujh  ko
zabāñ  vaalo  tumhārī  be-zabānī  kāTtī  hai