kisī  girdāb  kī  pheñkī  paḌī  hai
lab-e-sāhil  jo  ik  kashtī  paḌī  hai
haqīqat  meñ  vahī  sīdhī  paḌī  hai
mujhe  ik  chaal  jo  ulTī  paḌī  hai
safar  uljhā  diye  haiñ  us  ne  saare
mire  pairoñ  meñ  jo  tezī  paḌī  hai
vo  hañgāma  guzar  jaatā  udhar  se
magar  raste  meñ  ḳhāmoshī  paḌī  hai
mire  kānoñ  kī  zad  par  haiñ  manāzir
mirī  āñkhoñ  meñ  sargoshī  paḌī  hai
huā  hai  qatl  bedārī  kā  jab  se
ye  bastī  raat  din  soī  paḌī  hai
ye  misra  maiñ  adhūrā  chhoḌtā  huuñ
mire  baste  meñ  ik  taḳhtī  paḌī  hai
patañg  kaTne  kā  baa.is  aur  hai  kuchh
agarche  Dor  bhī  uljhī  paḌī  hai
zarā  koyal  kā  piñjra  khul  gayā  thā
abhī  tak  ḳhauf  se  sahmī  paḌī  hai
mukammal  ek  duniyā  aur  bhī  hai
jo  ik  duniyā  kī  an-dekhī  paḌī  hai
baḌī  banjar  thī  ye  khetī  'liyāqat'
magar  kuchh  roz  se  sīñchī  paḌī  hai