nazar  se  duur  rahe  yā  nazar  ke  paas  rahe
hamesha  ishq  ke  mausam  bahut  hī  ḳhaas  rahe
maiñ  tere  zikr  kī  vaadī  meñ  sair  kartā  rahūñ
hamesha  lab  pe  tire  naam  kī  miThās  rahe
ye  iztirāb  junūñ  ko  bahut  akhartā  hai
ki  tum  qarīb  ho  tan  par  koī  libās  rahe
vo  rū-ba-rū  the  to  āñkhoñ  se  daur  chal  nikle
khulī  na  botaleñ  ḳhālī  sabhī  gilās  rahe
ye  baat  raaz  kī  daadī  ne  ham  ko  batlā.ī
hamārī  umr  meñ  abbā  bhī  devdās  rahe
maiñ  kahkashāoñ  meñ  ḳhushiyāñ  talāshne  niklā
mire  sitāre  mirā  chāñd  sab  udaas  rahe
maiñ  muntazar  huuñ  kisī  aise  vasl  kā  jis  meñ
mire  badan  pe  tire  jism  kā  libās  rahe
tirī  hayāt  se  juḌ  jā.ūñ  vāqi.a  ban  kar
tirī  kitāb  meñ  merā  bhī  iktisāb  rahe