maiñ  vo  majnūñ  ki  ik  sahrā  hai  mujh  meñ
vo  sahrā  bhī  bahut  simTā  hai  mujh  meñ
mujhe  ḳhud  se  nikālegā  vo  āḳhir
ba-nām-e-ishq  jo  aayā  hai  mujh  meñ
tumhārī  yaad  ko  kaise  nikālūñ
ki  baaqī  kuchh  nahīñ  bachtā  hai  mujh  meñ
kisī  ke  barf  se  lahje  ke  hāthoñ
ajab  sho.ala  sā  ik  bhaḌkā  hai  mujh  meñ
koī  tāvīz  kā  paanī  pilā  do
koī  jādūgarī  kartā  hai  mujh  meñ
kamīnī  ko  ḳhabar  is  kī  nahīñ  hai
ki  sar  se  paañv  tak  dhokā  hai  mujh  meñ
tumhāre  ba.ad  ye  dekhā  nahīñ  hai
na-jāne  kaun  ab  rahtā  hai  mujh  meñ
tumheñ  merī  zarūrat  bhī  paḌegī
purāne  shahr  kā  naqsha  hai  mujh  meñ
tumhārī  samt  hijrat  kar  chukā  hai
kahāñ  'is.hāq'  ab  rahtā  hai  mujh  meñ