maiñ  ḳhālī  ghar  meñ  bhī  tanhā  nahīñ  thā
ki  jab  tak  aa.ina  TuuTā  nahīñ  thā
sar-e-ā.īna  vo  chehra  nahīñ  thā
magar  ye  baat  maiñ  samjhā  nahīñ  thā
jahāñ  sairāb  hotī  thī  mirī  ruuh
vo  sahrā  thā  koī  dariyā  nahīñ  thā
mujhe  us  moḌ  pe  maarā  gayā  hai
kahānī  meñ  jahāñ  marnā  nahīñ  thā
mirī  āñkhoñ  ne  vo  aañsū  bhī  dekhā
mirī  qismat  meñ  jo  likkhā  nahīñ  thā
huī  thī  zindagī  jab  shahr  meñ  gum
kisī  ko  koī  rañj  is  kā  nahīñ  thā