maiñ  zamīñ  Thahrā  to  us  ko  āsmāñ  honā  hī  thā
āsmāñ  ho  kar  use  nā-mehrbāñ  honā  hī  thā
pyaas  kī  tahrīr  se  to  ye  ayaañ  honā  hī  thā
be-nishāñ  bātil  to  haq  ko  jāvedāñ  honā  hī  thā
ruuh  kī  tajsīm  se  mumkin  huī  hai  zindagī
lā-makāñ  ke  vāste  bhī  ik  makāñ  honā  hī  thā
vo  gunah  kī  sarzamīñ  par  jannatoñ  kā  ḳhvāb  thā
is  tarah  ke  ḳhvāb  ko  to  rā.egāñ  honā  hī  thā
kab  thī  firdaus-e-barīñ  meñ  lazzat-e-lutf-e-gunah
is  zamīñ  kī  justujū  meñ  kuchh  ziyāñ  honā  hī  thā
be  nishāñ  rastoñ  pe  ab  tak  gāmzan  hai  ye  zamīñ
is  liye  bhī  āsmāñ  ko  be-karāñ  honā  hī  thā
meñ  chalā  thā  raat  ko  bhī  din  banāne  ke  liye
sar  pe  mere  dhuup  ko  phir  sā.ebāñ  honā  hī  thā