jab  ḳhasāre  hī  kā  sarmāya  huuñ  maiñ
phir  zamīñ  par  kis  liye  aayā  huuñ  maiñ
TuuTe  kirdāroñ  kā  malba  joḌ  kar
ik  nayā  qissa  banā  laayā  huuñ  meñ
ḳhvāb  tak  to  Thiik  thā  lekin  miyāñ
jāgne  ke  ba.ad  ghabrāyā  huuñ  maiñ
jis  kī  buniyādoñ  meñ  shab  kā  husn  hai
aisī  kaalī  dhuup  kā  saaya  huuñ  maiñ
apnī  hī  marzī  se  vāpas  jaane  de
dekh  tere  hukm  par  aayā  huuñ  maiñ
a  peshawar  āḳhirī  koshish  hai  ye
ḳhvāb  se  ik  fāḳhta  laayā  huuñ  maiñ