saa.e  phail  ga.e  khetoñ  par  kaisā  mausam  hone  lagā
dil  meñ  jo  Thahrāo  thā  ik  dam  darham-barham  hone  lagā
pardesī  kā  vāpas  aanā  jhūTī  ḳhabar  hī  niklī  nā
būḌhī  maañ  kī  aañkh  kā  taara  phir  se  maddham  hone  lagā
bachpan  yaad  ke  rañg-mahal  meñ  kaise  kaise  phuul  khile
Dhol  baje  aur  aañsū  Tapke  kahīñ  moharram  hone  lagā
Dhor  Dañgar  aur  pañkh  pakherū  hazrat-e-insāñ  kaaTh  kabāḌ
ik  sailāb  meñ  bahte  bahte  sab  kā  sañgam  hone  lagā
sab  se  yaqīn  uThāyā  ham  ne  dost  paḌosī  din  tārīḳh
īd-milan  ko  ghar  se  nikle  shor-e-mātam  hone  lagā