phir  naġhma-rez  abr-e-bahārāñ  hai  āj-kal
phir  chāk-e-dil  ba-qadr-e-garebāñ  hai  āj-kal
rañgīnī-e-bahār  kā  allāh  re  fusūñ
sāz-e-dil-e-shikasta  ġhazal-ḳhvāñ  hai  āj-kal
phir  maiñ  huuñ  aur  mahfil-e-jānāñ  kī  aarzū
phir  mehrbāñ  siyāsat-e-darbāñ  hai  āj-kal
merī  jabīn-e-shauq  meñ  ġhaltāñ  hai  āj-kal
ye  abr  ye  havā  ye  barastī  huī  sharāb
kāfir  hai  saḳht  vo  jo  musalmāñ  hai  āj-kal
saaqī  ne  vā  kiyā  dar-e-mai-ḳhāna-e-hayāt
fitrat  kī  chashm-e-mehr  pashemāñ  hai  āj-kal
maiñ  aur  daur-e-sāġhar-o-mīnā  hai  in  dinoñ
āñkheñ  haiñ  aur  tasavvur-e-jānāñ  hai  āj-kal
pahle  bhī  itr-bez  nasīm-e-bahār  thī
kis  kī  shamīm-e-zulf  pareshāñ  hai  āj-kal
bhātī  nahīñ  hai  dil  ko  kisī  saaz  kī  sadā
naġhmoñ  kā  har-nafas  meñ  vo  tūfāñ  hai  āj-kal
zholīdgī  na  pūchh  fazāoñ  meñ  ham-nashīñ
ḳhushbū-e-zulf-e-dost  pareshāñ  hai  āj-kal
har  jalva-e-hayāt  ba-qadr-e-nishāt-o-rañg
minnat-kash-e-tabassum-e-jānāñ  hai  āj-kal
ai  rūh-e-dard-o-shād  ye  terā  hī  faiz  hai
'jauhar'  jo  is  adā  se  ġhazal-ḳhvāñ  hai  āj-kal