kabhī  dekho  to  maujoñ  kā  taḌapnā  kaisā  lagtā  hai
ye  dariyā  itnā  paanī  pī  ke  pyāsā  kaisā  lagtā  hai
ham  us  se  thoḌī  duurī  par  hamesha  ruk  se  jaate  haiñ
na  jaane  us  se  milne  kā  irāda  kaisā  lagtā  hai
maiñ  dhīre  dhīre  un  kā  dushman-e-jāñ  bantā  jaatā  huuñ
vo  āñkheñ  kitnī  qātil  haiñ  vo  chehra  kaisā  lagtā  hai
zavāl-e-jism  ko  dekho  to  kuchh  ehsās  ho  is  kā
bikhartā  zarra  zarra  koī  sahrā  kaisā  lagtā  hai
falak  par  uḌte  jaate  bādaloñ  ko  dekhtā  huuñ  maiñ
havā  kahtī  hai  mujh  se  ye  tamāshā  kaisā  lagtā  hai