Jauhar Nizami

baDh gai wahshat bahaar-e-fitna-saman dekh kar

Jauhar Nizami

baḌh ga.ī vahshat bahār-e-fitnā-sāmāñ dekh kar
hañs rahā huuñ ḳhud-baḳhud chāk-e-garebāñ dekh kar
kaun tum ko roktā hai haañ magar kahtā ye huuñ
dil meñ nashtar do hujūm-e-dāġh-e-armāñ dekh kar
kyā kahūñ chhiTke hue bāloñ ne kyā Dhāyā ġhazab
dil pareshāñ ho gayā zulf-e-pareshāñ dekh kar
rāt-bhar shabnam hī kyā rotī rahī gulzār meñ
ro diye ham bhī guloñ kā chaak dāmāñ dekh kar
do tum itnā ġham ki āsānī se jitnā uTh sake
āzmāo tāqat-e-bīmār-e-hijrāñ dekh kar
Top Urdushayar.com