baḌh  ga.ī  vahshat  bahār-e-fitnā-sāmāñ  dekh  kar
hañs  rahā  huuñ  ḳhud-baḳhud  chāk-e-garebāñ  dekh  kar
kaun  tum  ko  roktā  hai  haañ  magar  kahtā  ye  huuñ
dil  meñ  nashtar  do  hujūm-e-dāġh-e-armāñ  dekh  kar
kyā  kahūñ  chhiTke  hue  bāloñ  ne  kyā  Dhāyā  ġhazab
dil  pareshāñ  ho  gayā  zulf-e-pareshāñ  dekh  kar
rāt-bhar  shabnam  hī  kyā  rotī  rahī  gulzār  meñ
ro  diye  ham  bhī  guloñ  kā  chaak  dāmāñ  dekh  kar
do  tum  itnā  ġham  ki  āsānī  se  jitnā  uTh  sake
āzmāo  tāqat-e-bīmār-e-hijrāñ  dekh  kar