haqīqatoñ  se  hai  duniyā  ko  ehtirāz  bahut
ki  hai  mizāj-e-zamāna  fasāna-sāz  bahut
tirā  ġhurūr-e-ibādat  tujhe  na  le  Duube
sunā  hai  paḌhtā  thā  iblīs  bhī  namāz  bahut
koī  bhī  fitrat-e-yazdāñ  kā  rakh  sakā  na  bharam
jo  nā-sazā  the  vo  kahlā.e  pāk-bāz  bahut
ye  kah  rahe  the  kal  āvārgān-e-kūcha-e-yār
adā.eñ  aaj  bhī  us  kī  haiñ  dil-navāz  bahut
unheñ  shu.ūr-e-mohabbat  nahīñ  ḳhudā  kī  qasam
jo  log  haiñ  tirī  mahfil  meñ  sarfarāz  bahut
mirī  ḳhushī  kā  zamāna  havā  kā  jhoñkā  thā
mire  ġhamoñ  kī  rahī  zindagī  darāz  bahut
ye  husn-o-ishq  kā  jauhar  hai  aur  kuchh  bhī  nahīñ
vo  ḳhud-pasand  bahut  haiñ  maiñ  be-niyāz  bahut