Dagh Dehlvi

mumkin nahin ki teri mohabbat ki bu na ho

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
mumkin nahīñ ki terī mohabbat kī bū na ho
kāfir agar hazār baras dil meñ tū na ho
kyā lutf-e-intizār jo tū hīla-jū na ho
kis kaam kā visāl agar aarzū na ho
mahshar meñ aur un se mirī dū-ba-dū na ho
kahne kī baat hai jo koī guftugū na ho
qātil agar na shoḳh ho ḳhanjar agar na tez
rag rag meñ be-qarār hamārā lahū na ho
ḳhalvat meñ tujh ko chain nahīñ kis kā ḳhauf hai
andesha kuchh na ho jo nazar chaar sū na ho
surḳhī hai teġh par na hinā tere haath meñ
qātil kahīñ safed adū kā lahū na ho
vo aadmī kahāñ hai vo insān hai kahāñ
jo dost kā ho dost adū kā adū na ho
dil ko masal masal ke zarā haath sūñghiye
mumkin nahīñ ki ḳhūn-e-tamannā kī bū na ho
zāhid mazā to jab hai azaab o savāb kā
dozaḳh meñ bāda-kash na hoñ jannat meñ tū na ho
māshūq-e-hijr us se ziyāda koī nahīñ
kyā dil-lagī rahe jo tirī aarzū na ho
aise kahāñ nasīb ki vo but ho ham-kalām
ham tuur par bhī jaa.eñ to kuchh guftugū na ho
dast-e-duā ko miltī hai tāsīr arsh se
jo haath se ho paañv se vo justujū na ho
ġhash aa na jaa.e dekh ke qātil ko mauj-e-ḳhūñ
nāzuk-mizāj kā kahīñ halkā lahū na ho
hai laag kā mazā dil-e-be-mudda.ā ke saath
tum kyā karo kisī ko agar aarzū na ho
ye TuuT kar kabhī na banegā kisī tarah
zāhid shikast-e-tauba shikast-e-sabū na ho
ai 'dāġh' aa ke phir ga.e vo is ko kyā kareñ
puurī jo nā-murād tirī aarzū na ho
Top Urdushayar.com