Dagh Dehlvi

jo ho sakta hai us se wo kisi se ho nahin sakta

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
jo ho saktā hai us se vo kisī se ho nahīñ saktā
magar dekho to phir kuchh aadmī se ho nahīñ saktā
mohabbat meñ kare kyā kuchh kisī se ho nahīñ saktā
mirā marnā bhī to merī ḳhushī se ho nahīñ saktā
alag karnā raqīboñ kā ilāhī tujh ko āsāñ hai
mujhe mushkil ki merī bekasī se ho nahīñ saktā
kiyā hai vāda-e-fardā unhoñ ne dekhiye kyā ho
yahāñ sabr o tahammul aaj hī se ho nahīñ saktā
ye mushtāq-e-shahādat kis jagah jaa.eñ kise DhūñDeñ
ki terā kaam qātil jab tujhī se ho nahīñ saktā
lagā kar teġh qissa paak kījiye dād-ḳhvāhoñ kā
kisī kā faisla kar munsifī se ho nahīñ saktā
mirā dushman ba-zāhir chaar din ko dost hai terā
kisī kā ho rahe ye har kisī se ho nahīñ saktā
pursish kahoge kyā vahāñ jab yaañ ye sūrat hai
adā ik harf-e-vāda nāzukī se ho nahīñ saktā
na kahiye go ki hāl-e-dil magar rañg-āshnā haiñ ham
ye zāhir aap kī kyā ḳhāmushī se ho nahīñ saktā
kiyā jo ham ne zālim kyā karegā ġhair muñh kyā hai
kare to sabr aisā aadmī se ho nahīñ saktā
chaman meñ naaz bulbul ne kiyā jo apnī naale par
chaTak kar ġhuncha bolā kyā kisī se ho nahīñ saktā
nahīñ gar tujh pe qaabū dil hai par kuchh zor ho apnā
karūñ kyā ye bhī to nā-tāqatī se ho nahīñ saktā
na ronā hai tarīqe kā na hañsnā hai salīqe kā
pareshānī meñ koī kaam jī se ho nahīñ saktā
huā huuñ is qadar mahjūb arz-e-mudda.ā kar ke
ki ab to uzr bhī sharmindagī se ho nahīñ saktā
ġhazab meñ jaan hai kyā kiije badla rañj-e-furqat kā
badī se kar nahīñ sakte ḳhushī se ho nahīñ saktā
mazā jo iztirāb-e-shauq se āshiq ko hai hāsil
vo taslīm o razā o bandagī se ho nahīñ saktā
ḳhudā jab dost hai ai 'dāġh' kyā dushman se andesha
hamārā kuchh kisī kī dushmanī se ho nahīñ saktā
Top Urdushayar.com