Dagh Dehlvi

aap ka etibar kaun kare

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
aap kā e'tibār kaun kare
roz kā intizār kaun kare
zikr-e-mehr-o-vafā to ham karte
par tumheñ sharmsār kaun kare
ho jo us chashm-e-mast se be-ḳhud
phir use hoshiyār kaun kare
tum to ho jaan ik zamāne kī
jaan tum par nisār kaun kare
āfat-e-rozgār jab tum ho
shikva-e-rozgār kaun kare
apnī tasbīh rahne de zāhid
daana daana shumār kaun kare
hijr meñ zahr khā ke mar jā.ūñ
maut kā intizār kaun kare
aañkh hai tark-e-zulf hai sayyād
dekheñ dil kā shikār kaun kare
va.ada karte nahīñ ye kahte haiñ
tujh ko ummīd-vār kaun kare
'dāġh' kī shakl dekh kar bole
aisī sūrat ko pyaar kaun kare
Top Urdushayar.com