Dagh Dehlvi

pukarti hai KHamoshi meri fughan ki tarah

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
pukārtī hai ḳhamoshī mirī fuġhāñ kī tarah
nigāheñ kahtī haiñ sab rāz-e-dil zabāñ kī tarah
bigaḌ ga.ī hai yahāñ be-tarah jahāñ kī tarah
kahāñ kī vaz.a kahāñ kī adā kahāñ kī tarah
chhuḌā de qaid se ai barq ham asīroñ ko
lagā de aag qafas ko bhī āshiyāñ kī tarah
kabhī to sulh bhī ho jaa.e zohd o mastī meñ
ilāhī shaiḳh bhī mai-ḳhvār ho muġhāñ kī tarah
jalā ke dāġh-e-mohabbat ne dil ko ḳhaak kiyā
bahār aa.ī mire baaġh meñ ḳhizāñ kī tarah
hayā ne rok liyā jazb-e-dil ne khīñch liyā
chale vo tiir kī sūrat khiñchī kamāñ kī tarah
talāsh-e-yār meñ chhoḌī na sarzamīñ koī
hamāre paañv meñ chakkar hai āsmāñ kī tarah
jo samjhe ḳhizr to qaul-e-shahīd-e-ulfat ko
girah meñ bāñdh rakkhe umr-e-jāvedāñ kī tarah
sune jo hazrat-e-zāhid se vasf jannat ke
to saaf phir ga.ī āñkhoñ meñ us makāñ kī tarah
jhukī hī jaatī hai kuchh ḳhud-ba-ḳhud hayā se vo aañkh
girī hī paḌtī hai bīmār-e-nā-tavāñ kī tarah
ye sadd-e-rāh huā kis kā pās-e-rusvā.ī
ruke hue haiñ mire ashk kārvāñ kī tarah
adā-e-matlab-e-dil ham se siikh jaa.e koī
unheñ sunā hī diyā haal dāstāñ kī tarah
maze haiñ us dahan-e-zaḳhm ke liye kyā kyā
jo chūse tiir ke paikān ko zabāñ kī tarah
samajh ke kījiye barbād merā musht-e-ġhubār
ye le na aa.e koī chakkar āsmāñ kī tarah
ye dil hai aap kā ghar rahiye shauq se lekin
shakeb-o-rāhat-o-sabr-o-qarār-e-jāñ kī tarah
qayāmat aa.ī shab-e-vasl mere ghar ke paas
raqīb ne use āvāz dī azaañ kī tarah
shab us kī bazm meñ thā sham.a par bhī rashk hameñ
ki muñh meñ shole ko gul-gīr le zabāñ kī tarah
mujhe ye hukm hai zinhār tum na karnā ishq
nasīhateñ bhī vo karte haiñ imtihāñ kī tarah
ham apne zo.af ke sadqe biThā diyā aisā
hile na dar se tire sañg-e-āstāñ kī tarah
kuchh un se kahne ko baiThe the ham ki ḳhalvat meñ
raqīb aa hī gayā marg-e-nā-gahāñ kī tarah
shikasta baal huuñ vo murġh-e-nātavāñ-o-za.īf
ki maiñ to maiñ na uḌe mere āshiyāñ kī tarah
na hoñge soz-e-mohabbat ke dil-jale ThanDe
bharī hai ātish-e-ġham maġhz-e-ustuḳhvāñ kī tarah
na chhoḌ said-e-mohabbat ko ḳhaak par sayyād
use bhī Daal le tū dosh par kamāñ kī tarah
zabān-e-ḳhār huī tar hamārī vahshat se
ki chhāle phūTe bhī chashm-e-ḳhūñ-fishāñ kī tarah
ḳhudā qubūl kare 'dāġh' tum jo sū-e-adam
chale ho ishq-e-butāñ le ke armuġhāñ kī tarah
Top Urdushayar.com