Dagh Dehlvi

is qadar naz hai kyun aapko yaktai ka

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
is qadar naaz hai kyuuñ aap ko yaktā.ī kā
dūsrā naam hai vo bhī mirī tanhā.ī kā
kyā chhupe raaz ilāhī dil-e-shaidā.ī kā
arsa-e-hashr to bāzār hai rusvā.ī kā
jaan le jā.egā aanā shab-e-tanhā.ī kā
kaun ab rokne vaalā hai mirī aa.ī kā
ḳhūgar-e-ranj-o-balā hashr ke din kyā ḳhush hoñ
ki vo maal aaj huā hai shab-e-tanhā.ī kā
zinda hai naam shahādat kā usī ke dam se
tere kushte ne kiyā kaam masīhā.ī kā
har galī kūche meñ pāmāl use ho jaanā
dil hai yā naqsh-e-qadam hai kisī harjā.ī kā
is adab se tah-e-shamshīr taḌapnā ai dil
ki gumāñ terī tapish par ho shakebā.ī kā
fitne bhī qā.ede se uThte haiñ jab uThte haiñ
kyā salīqa hai tumheñ anjuman-ārā.ī kā
vo ye kahte haiñ mirā sabr paḌegā tujh par
ab mujhe ranj nahīñ apnī shakebā.ī kā
kyā ġharaz hai mirī taqdīr ko mujh se pūchhe
aabrū kā hai talabgār ki rusvā.ī kā
vaañ shab-e-va.ada malī paañv meñ mehñdī us ne
yaañ kalejā koī maltā hai tamannā.ī kā
raat bhar sham.a rahī hijr meñ vo bhī ḳhāmosh
multajī thā tirī tasvīr se goyā.ī kā
sar mirā kaaT ke dahlīz par apnī rakh do
shauq baaqī hai abhī nāsiya-farsā.ī kā
yuuñ na maqbūl huā hogā kisī kā sajda
but ko armān rahā merī jabīñ-sā.ī kā
ho gayā partav-e-ruḳhsār se kuchh aur hī rañg
maiñ ne muñh chuum liyā us ke tamāshā.ī kā
tham ga.e jam ga.e āñkhoñ meñ lahū ke qatre
ḳhuun zāhir hai mire sabr o shakebā.ī kā
ban gayā dāġh-e-jigar mehr-e-qayāmat ai 'dāġh'
par abhī rañg vahī hai shab-e-tanhā.ī kā
Top Urdushayar.com