Dagh Dehlvi

sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905

sab log jidhar vo haiñ udhar dekh rahe haiñ

ham dekhne vāloñ nazar dekh rahe haiñ

tevar tire ai rashk-e-qamar dekh rahe haiñ

ham shaam se āsār-e-sahar dekh rahe haiñ

merā dil-e-gum-gashta jo DhūñDā nahīñ miltā

vo apnā dahan apnī kamar dekh rahe haiñ

koī to nikal aa.egā sarbāz-e-mohabbat

dil dekh rahe haiñ vo jigar dekh rahe haiñ

hai majma-e-aġhyār ki hañgāma-e-mahshar

kyā sair mire dīda-e-tar dekh rahe haiñ

ab ai nigah-e-shauq na rah jaa.e tamannā

is vaqt udhar se vo idhar dekh rahe haiñ

har-chand ki har roz ranjish hai qayāmat

ham koī din us ko bhī magar dekh rahe haiñ

aamad hai kisī ki gayā koī idhar se

kyuuñ sab taraf-e-rāhguzar dekh rahe haiñ

takrār tajallī ne tire jalve meñ kyuuñ

hairat-zada sab ahl-e-nazar dekh rahe haiñ

nairañg hai ek ek tirā diid ke qābil

ham ai falak-e-shobada-gar dekh rahe haiñ

kab tak hai tumhārā suḳhan-e-talḳh gavārā

is zahr meñ kitnā hai asar dekh rahe haiñ

kuchh dekh rahe haiñ dil-e-bismil taḌapnā

kuchh ġhaur se qātil hunar dekh rahe haiñ

ab tak to jo qismat ne dikhāyā vahī dekhā

ā.inda ho kyā nafā o zarar dekh rahe haiñ

pahle to sunā karte the āshiq musībat

ab aañkh se vo aaTh pahar dekh rahe haiñ

kyuuñ kufr hai dīdār-e-sanam hazrat-e-vā.iz

allāh dikhātā hai bashar dekh rahe haiñ

ḳhat ġhair paḌhte the jo Tokā to vo bole

aḳhbār parcha hai ḳhabar dekh rahe haiñ

paḌh paḌh ke vo dam karte haiñ kuchh haath par apne

hañs hañs ke mire zaḳhm-e-jigar dekh rahe haiñ

maiñ 'dāġh' huuñ martā huuñ idhar dekhiye mujh ko

muñh pher ke ye aap kidhar dekh rahe haiñ

Top Urdushayar.com