Dagh Dehlvi

tum aaina hi na har bar dekhte jao

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
tum ā.īna hī na har baar dekhte jaao
mirī taraf bhī to sarkār dekhte jaao
na jaao hāl-e-dil-e-zār dekhte jaao
ki jī na chāhe to nā-chār dekhte jaao
bahār-e-umr meñ bāġh-e-jahāñ kī sair karo
khilā huā hai ye gulzār dekhte jaao
yahī to chashm-e-haqīqat nigar kā surma hai
nizā-e-kāfir-o-dīñ-dār dekhte jaao
uThāo aañkh na sharmāo ye to mahfil hai
ġhazab se jānib-e-aġhyār dekhte jaao
nahīñ hai jins-e-vafā kī tumheñ jo qadr na ho
baneñge kitne ḳharīdār dekhte jaao
tumheñ ġharaz jo karo rahm pā.emāloñ par
tum apnī shoḳhi-e-raftār dekhte jaao
qasam bhī khaa.ī thī qur.ān bhī uThāyā thā
phir aaj hai vahī inkār dekhte jaao
ye shāmat aa.ī ki us kī galī meñ dil ne kahā
khulā hai rauzan-e-dīvār dekhte jaao
huā hai kyā abhī hañgāma aur kuchh hogā
fuġhāñ meñ hashr ke āsār dekhte jaao
shab-e-visāl adū kī yahī nishānī hai
nishān-e-bosa-e-ruḳhsār dekhte jaao
tumhārī aañkh mire dil se le sabab be-vaj.h
huī hai laḌne ko tayyār dekhte jaao
idhar ko aa hī ga.e ab to hazrat-e-zāhid
yahīñ hai ḳhāna-e-ḳhummār dekhte jaao
raqīb barsar-e-parḳhāsh ham se hotā hai
baḌhegī muft meñ takrār dekhte jaao
nahīñ haiñ jurm-e-mohabbat meñ sab ke sab mulzim
ḳhatā muaaf ḳhatā-vār dekhte jaao
dikhā rahī hai tamāshā falak kī nairañgī
nayā hai sho.abada har baar dekhte jaao
banā diyā mirī chāhat ne ġhairat-e-yūsuf
tum apnī garmī-e-bāzār dekhte jaao
na jaao band kiye aañkh rah-ravān-e-adam
idhar udhar bhī ḳhabar-dār dekhte jaao
sunī-sunā.ī pe hargiz kabhī amal na karo
hamāre haal ke aḳhbār dekhte jaao
koī na koī har ik sher meñ hai baat zarūr
janāb-e-'dāġh' ke ash.ār dekhte jaao
Top Urdushayar.com