Dagh Dehlvi

zahid na kah buri ki ye mastane aadmi hain

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905

zāhid na kah burī ki ye mastāne aadmī haiñ

tujh ko lipaT paḌeñge dīvāne aadmī haiñ

ġhairoñ dostī par kyuuñ e'tibār kiije

ye dushmanī kareñge begāne aadmī haiñ

jo aadmī pe guzrī vo ik sivā tumhāre

kyā lagā ke sunte afsāne aadmī haiñ

kyā jur.ateñ jo ham ko darbāñ tumhārā Toke

kah do ki ye to jāne-pahchāne aadmī haiñ

mai buuñd bhar pilā kar kyā hañs rahā hai saaqī

bhar bhar ke piite āḳhir paimāne aadmī haiñ

tum ne hamāre dil meñ ghar kar liyā to kyā hai

ābād karte āḳhir vīrāne aadmī haiñ

nāseh se koī kah de kiije kalām aisā

hazrat ko ki koī ye jaane aadmī haiñ

jab dāvar-e-qayāmat pūchhegā tum pe rakh kar

kah deñge saaf ham to begāne aadmī haiñ

maiñ vo bashar ki mujh se har aadmī ko nafrat

tum sham.a vo ki tum par parvāne aadmī haiñ

mahfil bharī huī hai saudā.iyoñ se us

us ġhairat-e-parī par dīvāne aadmī haiñ

shābāsh 'dāġh' tujh ko kyā teġh-e-ishq khaa.ī

karte haiñ vahī jo mardāne aadmī haiñ

Top Urdushayar.com