Dagh Dehlvi

abhi hamari mohabbat kisi ko kya malum

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
abhī hamārī mohabbat kisī ko kyā ma.alūm
kisī ke dil kī haqīqat kisī ko kyā ma.alūm
yaqīñ to ye hai vo ḳhat kā javāb likkheñge
magar navishta-e-qismat kisī ko kyā ma.alūm
ba-zāhir un ko hayā-dār log samjhe haiñ
hayā meñ jo hai sharārat kisī ko kyā ma.alūm
qadam qadam pe tumhāre hamāre dil kī tarah
basī huī hai qayāmat kisī ko kyā ma.alūm
ye rañj o aish hue hijr o vasl meñ ham ko
kahāñ hai dozaḳh o jannat kisī ko kyā ma.alūm
jo saḳht baat sune dil to TuuT jaatā hai
is ā.īñe kī nazākat kisī ko kyā ma.alūm
kiyā kareñ vo sunāne ko pyaar kī bāteñ
unheñ hai mujh se adāvat kisī ko kyā ma.alūm
ḳhudā kare na phañse dām-e-ishq meñ koī
uThā.ī hai jo musībat kisī ko kyā ma.alūm
abhī to fitne hī barpā kiye haiñ aalam meñ
uThā.eñge vo qayāmat kisī ko kyā ma.alūm
janāb-e-'dāġh' ke mashrab ko ham se to pūchho
chhupe hue haiñ ye hazrat kisī ko kyā ma.alūm
Top Urdushayar.com